Paytm Payments Bank Ke Bare Me Updates Bahut Pahle Hi Aa Gaye The. But Pahle Yah Testing Phase Me Kevl Kuch Special Customers Ke Liye Tha. Lekin Abhi Jaldi Me Hi Paytm Ne Update Diya Hai, Ki Latest Version Paytm App Ke Sath Paytm Payments Bank Service Sabhi Customers Ke Liye Aa Gaya Hai Or Koi Bhi Online Bank Account Open Kar Sakta Hai. Bahut Se Logo Ko Paytm Bank Account Open Karne Ke Bare Me Pata Bhi Hai. But Agr Aapko Nhi Pata Hai. To Yaha Par Me Aapko Batauga Ki Paytm Payments Bank Account Open Kaise Kare Lekin Usse Pahle Jan Lete Hai Ki Paytm Bank Kya Hai.
Paytm Payments Bank Kya hai :-
Paytm Bank Baki Ke Sabhi Normal Bank Se Thodha Aalg Hai Or Iske Services Bhi Aalg Hai . Payments Bank RBI (Reserve bank of India) Ka Ek Naya Concept Hai. Paytm Payments Bank Ek Virtual Bank Service Hai Jo Ki 1 Lakh Rupye /Customer Saving & Current Account Offer Karega. Iske Sath Or Bhi Banking Service Jese Ki Debit Card/ATM Card, Mobile Banking Or Net Banking Jese Service Bhi Milega .
Paytm Payments Bank Account Open Kaise Kare(कैसे करे)?
Paytm Payments Bank Account Open Karne Ke Kuch Condition Hai, Aagr Aap Unhe Pura Karte Hai. Tabhi App Apna Online Bank Account Open Kar Sakte Hai. Jese Ki.
- Sabse Pahle Paytm App Login Karne Ke Bad.
- Profile Me Jakr Apne Aadhaar Card Ke Duvara KYC Verification Karna Hoga.
- Paytm Payments Bank Account Kevl Latest Version(6.0.0) Paytm App Me Hi Enable Hai.
- Easke Liy Aagr Aapka Paytm App Update Nhi Hai.
- To Use Pahle Latest Version Me Update Karna Hoga.
- KYC Verification Or App Update Karne Ke Bad
Step 1:
- Paytm App Ko Install Karne Ke Bad.
- Aap Jese Hi Open Kerege. Vese Hi Aapko Paytm Payments Bank Ka Option Milega.
- Ab Aap Proceed Par Click Kare.
- Proceed Par Click Karne ke Bad Do Options Milege
- 1. I want to add a nominee Now
- 2. I do not want add a nominee
- Aagr Aap Apne Account Ka Koi Nominee add Karna Chahte Hai
- To Pahla Options Select Kare.
- Aagr Nhi Add Karna Chahte To Dusra Option Select Kare Or Proceed Par Click Kar De.
Ab Yah Par Aapko Apna Agent Visit Address, Aadhaar Card Number Or Aadhaar Name Darj Karna Hai. USke Bad Request an Appointment Par Click Karna Hai. Fir 2 Yah 3 Din Me Aapke Diy Gaye Address Par Ek Paytm Agent Aayega Or Aapke Sabhi Required Orginal Document & Address Ko Verify Karega. Uske Bad Aapka Paytm Bank Account Open Ho Jayega.
Dosto Paytm Payments Bank Ek Behtr Option Ho Sakta Hai. Aagr Aap Online Bank Account Open Karna Chahte Hai. Esme Aapko Cash Transaction Ke Liye ATM Card Milega Cashless Transaction Ke Liye Paytm bank wallet Bhi Milega. Easke Sath Paytm Bank Me Deposit Kiye Gaye Amount Par Aapko 4% Interest Bhi Milega. Mene Paytm Payments Bank Account Open Karne Ke Liy Apply Kar Diya Hai. Aagr Aap Chaho To Aap Bhi Apply Kar Sakte Hai.
Advertisement
Dosto Aaj Ki Yah Blog Post Kaise Lagi Hai Comments Karke Garur Batana.