Change Mobile Number:
Hello Dosto Aaj ki Es Blog Post Me Hm Janege Ki Gmail Account Me Mobile Number ko add karna or change karna.
Agar aap ek android user hai to aap bina gmail account ke android phone me bohot kuchh nahi kar payenge. Android me lagbhag google internet se related kam ke liye google account chahiye hi hota hai
What is android in hindi janne ke liye
Gmail Account Ka Mobile Number Change Step by Step:
Step-1:
Gmail Account ka mobile number change karne ke liye aapko MyAccount.Google.com website par jakar Personal info & privacy par click karna hai. Yeh google ka hi ek website hai jaha se Gmail account ka Password, Mobile number, 2-step verification aur baki ke sabhi chiz yeha se manage hota hai.
Step-2:
Personal info & privacy section par jakar aapko Phone Number par click karna hai. Niche screenshot par aap dekh sakte ho.
Advertisement
Step-3:
Ab aapki gmail account ke old mobile number show hoga. Mobile number ke last me Edit ka option h . Mobile number change karne ke liye uspar click karde.
Gmail Account Kaise Delete Kare
Step-4:
Es step me aap ko UPDATE NUMBER par click karna hai.
Step-5:
Ab aap apni Purane mobile number ko Cut karke New Mobile Number Enter karke Select par click karde. Is number par ek Code sms ke jariye ayega usko next page par ente karna hoga.
Step-6:
Is page par aapko new mobile number ko Verify karna hoga. Apne jo New Number enter kiya hai uspar Verification Code aaya hoga usko Enter the code ke box par dalkar Verify par click karde.Ab aapke gmail account ka mobile number change ho chuka hai. Dosto Aaj ki Yah Blog Post kaise lagi Comment karke jarur batana .
Dosto Aaj ki blog Post Gmail Mobile Number kaise Change kare Post kaisi lagi. Or aapka koi Sujhav hai to aap hame comment karke bata skte hai. ham aapke Comment ka Jaur Jabad Dege. Dhnyvad Aap Sabhi ka.